Book cover
Islamic eBook Library PDF
GHAIR MUQALLID SAWALAT KE JAWAB FAZAIL E AMAAL
About this book
Usool ki baat yeh hai ki Ghair
Muqallid Bhaion ko Ahle sunnat Wal Jamaat
ke Ulma se Raabta Karna Chahiye aur apni baat aur dalil pesh karna
chahiye.Aur quran hadith ki roshni mein batoon ko samajhna chahiye.
Lekin Aisa Woh Nahin Kar rahe hain Balki
yeh Aam Aadmi jo namaz roza karne wala hota hai uske paas pahunchte hain aur
unke dil mein shak aur waswasa daalte hain ki Tumahari to namaz hi nahin hui,
Aulia Allah ke waqea mein jhoot wagairah ka ilzam lagate hai,…….Aur usko
intashar mein daalne ki koshish karte hain……
Halanki
agar aap nazdeek se dekhein to who is tarah se 1% Musalmanon ko bhi Apne group
mein nahih kar paye hain…..Hazaron mein koi ek unke shak mein mubtala hota hai.
Woh internet /face book, you tube ya phir center aur library waghairah banakar
apni taqat dikhane ki koshish karte hain lekin unki zameeni tadad na ke barabar
hai
Is
lihaz se Ahle sunnat ya Tablighi Jamaat ka koi nuqsan nahin hai
Lekin ek bahut bada nuqsan Musalman Ummat Jismein
Hanafi SHafaee Ahle Hadith Salafi aur Ghair Muqallid sab shamil hain .SABHI
KA NUQSAN HO RAHA HAI WOH kiya hai.
1. Mausalmanon
ka waqt o salahiat aapas ke ikhtalaf mein barbad ho raha hai
2. Musalman
Bajae deen ki buniad par aane ke Tawheed Risalat aur akhrat ke bajae chote
chote masail mein ulajh rahe hain
3. Musalmanon
mein Apas mein boghz Enaad aur kabhi Kabhi Gali Galauj tak ki naubat A Rahi Hai
Free PDF download · Opens from the listed source
← Back to the library